Advertisement

Best of Jagjit Singh – ‘Forget me not’

Here’s a special tribute to the ghazal maestro.

Forget Me Not – 2002
Phool Bhare Hai Daman Daman, Lakin Vira Ghulshan Ghulshan Akal Ki Baten Karne Waale, Kya Samzhege Dil Ki Dhadkan Kaun Kisi Ke Dukh Ka Sathi, Aapne Aasu Apna Daman Tera Daman Chodu Kaise, Meri Dunia Tera Daman Prem Geet – 1981 Honton Se Chhoo Lo Tum Mera Geet Amar Kar Do, Ban Jaao Meet Mere Meri Preet Amar Kar Do Na Umr Ki Seema Ho Na Janm Ka Ho Bandhan, Jab Pyaar Kare Koi To Dekhe Keval Mann Nayi Reet Chalaakar Tum Yeh Reet Amar Kar Do Saath Saath – 1981 Tu Nahi To Zindagi Me Aur Kya Reh Jaayega Duur Tak Tanhaeyo Ka Silsila Reh Jayega Dard Ki Saari Tahe Aur Saare Guzre Haadse Sab Dhooan Ho Jaayenge Ik Faakeya Reh Jaayega Saath Saath – 1981 Tum Ko Dekha To Ye Khayaal Aaya, Zindagi Dhoop Tum Ghana Chaaya Aaj Phir Dil Ne Ik Tamanna Ki, Aaj Phir Dil Ko Humne Samjhaaya Tum Chale Jaaoge To Sochenge, Humne Kya Khoya Humne Kya Paaya Arth -1982 Tum Itna Jo Muskura Rahe Ho Kya Gham Hai Jisko Chupaa Rahe Ho Aankhon Mein Namee Hansi Labon Par Kya Haal Hai Kya Dikhaa Rahe Ho Ban Jaayenge Zaher Peete Peete Ye Ashq Jo Peete Rahe Ho Dhushman – 1998 Chitti Na Koi Sandesh, Jane Who Kaun Sa Desh, Jaha Tum Chale Gaye Is Dil Pe Laga Ke Thesh, Jane Who Kaun Sa Desh, Jaha Tum Chale Gaye Sarfarosh -1999 Hosh Walo Ko Khabar Kya Bekudi Kya Cheej Hai Ishq Kijiye Phi Samjheye Zindagi Kya Cheej Hai Un Se Nazre Kya Mili Rshan Phijaye Ho Gaye Aaj Janna Pyar Ki Jadugari Kya Cheej Hai Someone Somewhere – 1990 Meri Zindagi Kisi Aur Ki, Mere Naam Ka Koi Aur Hai Mera Naqsh Hai Sar-e-aayina, Pase Aayina Koi Aur Hai Meri Dhadkanon Mein Hai Chaapsi, Ye Judaaee Bhi Hai Milaapsee Mujhe Kya Patha, Mere Dil Batha, Mere Saath Kya Koi Aur Hai Na Gaye Dino Ko Khabar Meri, Na Shareeke Haal Nazar Teri Tere Desh Mein, Mere Bhesh Mein, Koi Aur Tha, Koi Aur Hai Wo Meri Taraf Nigraan Rahe, Mera Dhyaan Jaane Kahan Rahe Meri Aankh Mein Kai Sooraten, Mujhe Chaahta Koi Aur Hai Aaeena – 2000 Muskurakar Mila Karo Humse, Kuch Kaha Aur Suna Karo Hamse Baat Karne Se Baat Badhti Hai, Rooj Bate Kiya Karo Hamse Dushmani Se Milaiga Kya Tumko, Dost Bankar Raha Karo Hamse Dekh Lete Hai Saat Pardo Me, Yuh Na Parda Kiya Karo Hamse Face to Face – 2004 Zindagi Tu Ne Lahoo Le Ke Diya Kuchh Bhi Nahin Tere Daman Main Merey Waste Kya Kuchh Bhi Nahin Merey In Hathon Ki Chaho Totalashi Le Lo Merey Hathon Mein Lakeeron Ke Siwakuchh Bhi Nahin Marasim -1999 Shaam Se Aankh Mein Namin Si Hai, Aaj Fir Aapki Kami Si Hai Dafan Kar Do Hamein Ki Saans Mile, Nabz Kuch Der Se Thami Si Hai Waqt Rehtha Nahin Kahin Chupkar, Iski Aadat Bhi Aadmi Si Hai Marasim Aankhon Mein Jal Raha Hai Kyoon, Bujtha Nahin Dhuaan Uththa Tho Hai Gata Sa Barastha Nahin Dhuaan Choolha Nahin Jalaye Ya Basti Hi Jal Gayi Kuch Roj Ho Gaye Hain Abh Uththa Nahin Dhuaan Mirage – 1996 Main Na Hindoo Na Musalmaan Mujhe Jeene Do, Dosti Hai Mera Imaan Mujhe Jeene Do Koi Ehsaan Na Karo Mujhpe To Ehsaan Hoga, Sirf Itna Karo Ehsaan Mujhe Jeene Do Saher -2000 Yaad Nahiin Kyaa Kyaa Dekhaa Thaa Saare Manzar Bhuul Gaye Us Kii Galiyon Se Jab Laute Apanaa Bhii Ghar Bhuul Gaye Khuub Gaye Pardes Ki Apane Diivaar-o-dar Bhuul Gaye Shiish-mahal Ne Aisaa Gheraa Mittii Ke Ghar Bhuul Gaye Compiled by Ajith Vijay Kumar