10 Most Iconic Romantic Dialogues From Top Bollywood Classics

Zee Media Bureau
Dec 14, 2023

Mughal-e-Azam

"Jahe naseeb. Kaanton ko murjhane ka khauf nahin. Phool to murjhha jaate hain, lekin kaante daaman thhaam lete hain."

Mohabbatein

"Mohabbat bhi zindagi ki tarah hoti hai, har mod aasaan nahin hota, har mod par khushi nahin milti, par jab hum zindagi ka saath nahin chhorte, to mohabbat ka saath kyon chhorein."

Devdas

“Chandarmukhi is bhare paimane mein aur sharaab dalogi to kya hoga, chalak jayega. Isi tarah Paro ke naam se bhara pada hai paiman-e-devdas bhi...aur bharogi to chalak jayega. Khud toh girega tumhe bhi gira dega zameen pe”.

Pakeezah

“Aapke paaon dekhe. Bahut haseen hain. Inhe zameen par mat utariiega, Maile ho jaayenge –Aapkaa ek humsafar…”

Dilwale Dulhania Le Jayenge

"Mujhe chahiye ek aisi ladki , jisse dekhte hi dil ki har aarzoo, saare khwaab , saare rang zinda ho jaaye, abhi aisa hua nahi, lekin ab lagta hai jaise koi andekha anjaana chehra baadalon mein se pukaar raha hain. Pata nahi ye baadal kab hattenge, aur kab woh pukaarne waali saamne aayegi."

Hum Dil De Chuke Sanam

"Agle saat janmo tak tum vanraj ki ho, lekin athve janam me tum meri hogi and that time no vanraj vanraj plz, aur nandu tum mujhe is tarah mat dekho kyunki tumhe mujhse phir se pyaar ho jaega..."

Veer Zaara

“Mein nahi janta ke muhabbat kya hai...haan zaara k liye dil se ek dua zaror nikalti hai ki is ke aankhon mein kabhi ansoo na aye, ye hamsesha khush rahay...ab ager ye mohabbat hai to mohabbat he sahi.”

Silsila

"Mai aur meri tanhai, aksar ye baaten karte hain, tum hoti to kaisa hota, tum ye kahti, tum wo kahti, tum is baat pe hairaan hoti, tum us baat pe kitni hansti, tum hoti to aisa hota, tum hoti to waisa hota."

Fanaa

"Hum se bachkar jaaoge kaise.. apne dil se hame nikaaloge kaise .. hum woh khushbu hai jo saason mein baste hain .... kud ki saanson ko rok paaoge kaise."

Om Shanti Om

"Itni shidaat se maine tumhe paane ki koshish ki hai, ki har zarre ne mujhe tumse milane ki saazish ki hai."

VIEW ALL

Read Next Story