Best of Jagjit Singh – ‘Forget me not’
Here’s a special tribute to the ghazal maestro.
Trending Photos
Forget Me Not – 2002
Phool Bhare Hai Daman Daman, Lakin Vira Ghulshan Ghulshan
Akal Ki Baten Karne Waale, Kya Samzhege Dil Ki Dhadkan
Kaun Kisi Ke Dukh Ka Sathi, Aapne Aasu Apna Daman
Tera Daman Chodu Kaise, Meri Dunia Tera Daman
Prem Geet – 1981
Honton Se Chhoo Lo Tum Mera Geet Amar Kar Do, Ban Jaao Meet Mere Meri Preet Amar Kar Do
Na Umr Ki Seema Ho Na Janm Ka Ho Bandhan, Jab Pyaar Kare Koi To Dekhe Keval Mann
Nayi Reet Chalaakar Tum Yeh Reet Amar Kar Do
Saath Saath – 1981
Tu Nahi To Zindagi Me Aur Kya Reh Jaayega
Duur Tak Tanhaeyo Ka Silsila Reh Jayega
Dard Ki Saari Tahe Aur Saare Guzre Haadse
Sab Dhooan Ho Jaayenge Ik Faakeya Reh Jaayega
Saath Saath – 1981
Tum Ko Dekha To Ye Khayaal Aaya, Zindagi Dhoop Tum Ghana Chaaya
Aaj Phir Dil Ne Ik Tamanna Ki, Aaj Phir Dil Ko Humne Samjhaaya
Tum Chale Jaaoge To Sochenge, Humne Kya Khoya Humne Kya Paaya
Arth -1982
Tum Itna Jo Muskura Rahe Ho
Kya Gham Hai Jisko Chupaa Rahe Ho
Aankhon Mein Namee Hansi Labon Par
Kya Haal Hai Kya Dikhaa Rahe Ho
Ban Jaayenge Zaher Peete Peete
Ye Ashq Jo Peete Rahe Ho
Dhushman – 1998
Chitti Na Koi Sandesh, Jane Who Kaun Sa Desh,
Jaha Tum Chale Gaye
Is Dil Pe Laga Ke Thesh, Jane Who Kaun Sa Desh,
Jaha Tum Chale Gaye
Sarfarosh -1999
Hosh Walo Ko Khabar Kya Bekudi Kya Cheej Hai
Ishq Kijiye Phi Samjheye Zindagi Kya Cheej Hai
Un Se Nazre Kya Mili Rshan Phijaye Ho Gaye
Aaj Janna Pyar Ki Jadugari Kya Cheej Hai
Someone Somewhere – 1990
Meri Zindagi Kisi Aur Ki, Mere Naam Ka Koi Aur Hai
Mera Naqsh Hai Sar-e-aayina, Pase Aayina Koi Aur Hai
Meri Dhadkanon Mein Hai Chaapsi, Ye Judaaee Bhi Hai Milaapsee
Mujhe Kya Patha, Mere Dil Batha, Mere Saath Kya Koi Aur Hai
Na Gaye Dino Ko Khabar Meri, Na Shareeke Haal Nazar Teri
Tere Desh Mein, Mere Bhesh Mein, Koi Aur Tha, Koi Aur Hai
Wo Meri Taraf Nigraan Rahe, Mera Dhyaan Jaane Kahan Rahe
Meri Aankh Mein Kai Sooraten, Mujhe Chaahta Koi Aur Hai
Aaeena – 2000
Muskurakar Mila Karo Humse, Kuch Kaha Aur Suna Karo Hamse
Baat Karne Se Baat Badhti Hai, Rooj Bate Kiya Karo Hamse
Dushmani Se Milaiga Kya Tumko, Dost Bankar Raha Karo Hamse
Dekh Lete Hai Saat Pardo Me, Yuh Na Parda Kiya Karo Hamse
Face to Face – 2004
Zindagi Tu Ne Lahoo Le Ke Diya Kuchh Bhi Nahin
Tere Daman Main Merey Waste Kya Kuchh Bhi Nahin
Merey In Hathon Ki Chaho Totalashi Le Lo
Merey Hathon Mein Lakeeron Ke Siwakuchh Bhi Nahin
Marasim -1999
Shaam Se Aankh Mein Namin Si Hai, Aaj Fir Aapki Kami Si Hai
Dafan Kar Do Hamein Ki Saans Mile, Nabz Kuch Der Se Thami Si Hai
Waqt Rehtha Nahin Kahin Chupkar, Iski Aadat Bhi Aadmi Si Hai
Marasim
Aankhon Mein Jal Raha Hai Kyoon, Bujtha Nahin Dhuaan
Uththa Tho Hai Gata Sa Barastha Nahin Dhuaan
Choolha Nahin Jalaye Ya Basti Hi Jal Gayi
Kuch Roj Ho Gaye Hain Abh Uththa Nahin Dhuaan
Mirage – 1996
Main Na Hindoo Na Musalmaan Mujhe Jeene Do, Dosti Hai Mera Imaan Mujhe Jeene Do
Koi Ehsaan Na Karo Mujhpe To Ehsaan Hoga, Sirf Itna Karo Ehsaan Mujhe Jeene Do
Saher -2000
Yaad Nahiin Kyaa Kyaa Dekhaa Thaa Saare Manzar Bhuul Gaye
Us Kii Galiyon Se Jab Laute Apanaa Bhii Ghar Bhuul Gaye
Khuub Gaye Pardes Ki Apane Diivaar-o-dar Bhuul Gaye
Shiish-mahal Ne Aisaa Gheraa Mittii Ke Ghar Bhuul Gaye
Compiled by Ajith Vijay Kumar
Stay informed on all the latest news, real-time breaking news updates, and follow all the important headlines in india news and world News on Zee News.
Advertisement
Live Tv
Advertisement